Khushi ki mili yeh saza rafta rafta
taaruf ghamon se hua rafta rafta
thi chehre ki rangat tou nazron ke aage
chala rang-e-dil ka pata rafta rafta
bhalaai kiye jaa yaqeen rab pe rakh kar
woh deta hai sab ko sila rafta rafta
tere bin bhi kat jayegi umr lekin
chhuda apna daman zara rafta rafta
nazar jo mili dil hua raakh jalkar
dhuaan phir usi se utha rafta rafta
chaman mein khili hanste hanste jo kaliyan
tou khushboo se mehki fizaa rafta rafta
pareshani se na ghabraao
asar layegi har dua rafta rafta