lovezonesms

Tuesday, August 2

Bin zeher piye guzara kab tha
















Yoon hausla dil hara kab tha

sartaan mera sitara kab tha
lazim tha guzarna zindagi se
bin zeher piye guzara kab tha
kuchh pal use aur dekh sakte
ashqon ko magar ganwara kab tha
hum khud bhi judaai ka sabab kab the
uska hi qasoor sara kab tha
ab aur ke saath hai tou kya dukh
pehle bhi koi humara kab tha
ek naam pe zahen khil uthtta tha
qatil ki taraf se ishara kab tha
aaye ho tou roshni hui hai
mere naam pe koi tara kab tha
dekha hua tha har kisine par
dulhan ki tarah sanwara kab tha.