Bimaari-e-hasti ki dawa kyun nahi aati
jee bhar gaya duniya se qaza kyun nahi aati
har kulfat-e-insaan ko jo jadd hi se mita de
alam mein koi aisi vabaa kyun nahi aati
gulshan ki nighabaani ka jhagda hi nipat jaye
honton pe tabahi ki dua kyun nahi aati
har ek pe kar lete hai befikr bharosa
hum jaison ko jeene ki ada kyun nahi aati
ik roz ke faaqa se khula raaz ki aakhir
kismat ki tijatat mein haya kyun nahi aati
kehte hai ki har cheez mein tu jalwa numa hai
phir mujh ko nazar teri ziya kyun nahi aati
khoon rezi-o-barbaadi pe kaam hai unke
seenon se nelaamat ki sada kyun nahi aati
mazlum pe toote hai musibat pe musibat
sar-e-zalim pe bala kyun nahi aati