Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
tum ne thahrai agar ghair ke ghar jaane ki
to irade yahaan kuchh aur thahar jayenge
hum nahin vo jo karein khoon ka dava tujh par
balki poochega khuda bhi to mukar jayenge
aag dozakh ki bhi ho jayegi pani pani
jab ye aasi arq-e-sharm se tar jayenge
shola-e-aah ko bijli ki tarah chamkaun
par mujhe dar hai, ki vo dekh ke dar jayenge
laaye jo mast hain turbat pe gulabi aankhein
aur agar kuchh nahin, do phool to dhar jayenge
nahin payega nishan koi hamara hargiz
hum jahan se ravish-e-tiir-e-nazar jayenge
pahunchenge rahguzar-e-yaar talak hum kyunkar
pahle jab tak na do aalam se guzar jayenge